zamīñ se āsmāñ tak āsmāñ se lā-makāñ tak hai
zarā parvāz-e-musht-e-ḳhāk to dekho kahāñ tak hai
talāsh-o-justujū kī had faqat nām-o-nishāñ tak hai
surāġh-e-kārvāñ bhī bas ġhubār-e-kārvāñ tak hai
jabīn-e-shauq ko kuchh aur bhī izn-e-sa.ādat de
ye zauq-e-bandagī mahdūd sañg-e-āstāñ tak hai
sarāpā aarzū ban kar kamāl-e-mudda.ā ho jā
vo nañg-e-ishq hai jo aarzū āh-o-fuġhāñ tak hai
baḌhā.e jā qadam rāh-e-talab meñ shauq se 'vahshī'
ki had-e-sa.ī-e-lā-hāsil faqat kaun-o-makāñ tak hai