hai dard ke intisāb sā kuchh
vo yaad āñgan meñ ḳhvāb sā kuchh
vo ārzūeñ vo tishna-kāmī
had-e-nigah tak sarāb sā kuchh
vo hijratoñ ke udaas mausam
safar safar iztirāb sā kuchh
har ik ta.alluq shikast-mā.il
ravish ravish inqilāb sā kuchh
vo mish.al-e-jāñ bujhī bujhī sī
koī bikharte gulāb sā kuchh
vo phuul hāthoñ meñ sañg-pāre
vo ek paisa hisāb sā kuchh
vo us ke dil meñ savāl jaisā
mire laboñ pe javāb sā kuchh
bas ek hālat meñ hī milā vo
garhan meñ āftāb sā kuchh