Afsar Allahabadi

kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin

Afsar Allahabadi

kuchh bhī nahīñ jo yād-e-butān-e-hasīñ nahīñ
jab vo nahīñ to dil bhī hamārā kahīñ nahīñ
kis vaqt ḳhūñ-fishāñ nahīñ āñkheñ firāq meñ
kis roz tar lahū se yahāñ āstīñ nahīñ
aisā na paayā koī bhī us but kā naqsh-e-pā
jis par ki āshiqoñ ke nishān-e-jabīñ nahīñ
har parda-dār vaqt par aatā nahīñ hai kaam
ek āstīñ hai āñkhoñ par ik āstīñ nahīñ
donoñ jahāñ se kaam nahīñ ham ko ishq meñ
achchhā to hai jo apnā Thikānā kahīñ nahīñ
kyā har taraf hai naza.a meñ apnī nigāh-e-yās
zaanū par us ke sar jo dam-e-vāpsīñ nahīñ
donoñ meñ sau tarah ke bakheḌe haiñ umr bhar
ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-dīñ nahīñ
vo mehr-vash jo aayā thā kal aur auj thā
aaj āsmāñ pe mere makāñ kī zamīñ nahīñ
kyā aañkh uThā ke naza.a meñ dekhūñ kisī ko maiñ
bālīñ par aap hī jo dam-e-vāpsīñ nahīñ
paidā huī zarūr koī nā-ḳhushī kī baat
be-vaj.h ye huzūr kī chīn-e-jabīñ nahīñ
ḳhair aa ke fātiha kabhī iḳhlās se paḌhe
us bevafā kī zaat se ye bhī yaqīñ nahīñ
ḳhil.at milī junūñ se ajab qat.a kī mujhe
dāman haiñ chaak jeb qabā āstīñ nahīñ
'afsar' jo is jahān meñ kal tak the hukmarāñ
aaj un kā bahar-e-nām bhī tāj-o-nagīñ nahīñ
Top Urdushayar.com