Irfan Ahmad

naqab chehre se uske kabhi sarakta tha

Irfan Ahmad

Bachhraon, Uttar pradesh, India

naqāb chehre se us ke kabhī saraktā thā
to kaale bādaloñ meñ chāñd sā chamaktā thā
use bhī ḳhitta-e-sarsabz mil gayā shāyad
vo ek abr kā TukḌā jo kal bhaTaktā thā
vo mere saath jo chaltā thā ghar ke āñgan meñ
to māhtāb bhī palkeñ bahut jhapaktā thā
ye kah ke barq bhī barsāt meñ bahut roī
ki ek peḌ chaman meñ ġhazab mahaktā thā
ġham-e-hayāt ne baḳhshe haiñ saare sannāTe
kabhī hamāre bhī pahlū meñ dil dhaḌaktā thā
jo ho ga.ī hai kabhī abr kī navāzish bhī
to sā.ebān ka.ī din talak Tapaktā thā
akele paar utar ke bahut hai ranj mujhe
maiñ us kā bojh uThā kar bhī tair saktā thā
Top Urdushayar.com