hayāt mujh pe ik ilzām hī sahī phir bhī
bahut aziiz hai mujh ko ye zindagī phir bhī
nahīñ kuchh aur to mumkin thī ḳhud-kushī phir bhī
hai koī baat ki jiitā hai aadmī phir bhī
ye tīrgī to bas ik gardish-e-zamīñ tak hai
magar ye raat jo ham se na kaT sakī phir bhī
chaman luTā hai ḳhud ahl-e-chaman kī sāzish se
kalī kalī hai magar mahv-e-ḳhvāb sī phir bhī
kisī ko pā ke bhī akasr gumāñ ye hotā hai
ki jaise rah ga.ī baaqī koī kamī phir bhī
hamīñ pe yūrish-e-zulmat hamīñ haiñ kushta-e-shab
hamīñ haiñ pesh-rav-e-sub.h-o-raushnī phir bhī
lab-e-'kalīm' pe ab naġhma-e-bahār to hai
ye aur baat ki āñkheñ haiñ shabnamī phir bhī