Afsar Allahabadi

falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota

Afsar Allahabadi

falak un se jo baḌh kar bad-chalan hotā to kyā hotā
javāñ se pesh-rau pīr-e-kuhan hotā to kyā hotā
musallam dekh kar yāqūb murde se hue bad-tar
jo yūsuf kā darīda pairahan hotā to kyā hotā
hamārā koh-e-ġham kyā sañg-e-ḳhārā hai jo kaT jaatā
agar mar mar ke zinda kohkan hotā to kyā hotā
atā kī chādar-e-gard us ne apne marne vāloñ ko
huī ḳhilqat kī ye sūrat kafan hotā to kyā hotā
nigah-bāñ jal ga.e chaar āñkheñ hote dekh kar us se
kalīm aasā kahīñ vo ham-suḳhan hotā to kyā hotā
baḌā bad-ahd hai is shohrat-e-īfā-e-vāda par
agar mash.hūr tū paimāñ-shikan hotā to kyā hotā
muqaddar meñ to likkhī hai gadā.ī kū-e-jānāñ kī
agar 'afsar' shahanshāh-e-zaman hotā to kyā hotā
Top Urdushayar.com