Saqi Amrohvi

samne jab koi bharpur jawani aae

Saqi Amrohvi

sāmne jab koī bharpūr javānī aa.e
phir tabī.at meñ mirī kyuuñ na ravānī aa.e
koī pyāsā bhī kabhī us kī taraf ruḳh na kare
kisī dariyā ko agar pyaas bujhānī aa.e
maiñ ne hasrat se nazar bhar ke use dekh liyā
jab samajh meñ na mohabbat ke ma.ānī aa.e
us kī ḳhushbū se kabhī merā bhī āñgan mahke
mere ghar meñ bhī kabhī raat kī raanī aa.e
zindagī bhar mujhe is baat kī hasrat hī rahī
din guzārūñ to koī raat suhānī aa.e
zahr bhī ho to vo tiryāq samajh kar pī le
kisī pyāse ke agar sāmne paanī aa.e
ain mumkin hai koī TuuT ke chāhe 'sāqī'
kabhī ek baar palaT kar to javānī aa.e
Top Urdushayar.com