Afsar Allahabadi

tumhaare hijr mein kyun zindagi na mushkil ho

Afsar Allahabadi

tumhāre hijr meñ kyuuñ zindagī na mushkil ho
tumhīñ jigar ho tumhīñ jaan ho tumhīñ dil ho
ajab nahīñ ki agar ā.īna muqābil ho
tumhārī teġh-e-adā ḳhud tumhārī qātil ho
na iḳhtilāf-e-mazāhib ke phir paḌeñ jhagḌe
hijāb apnī ḳhudī kā agar na haa.il ho
tumhārī teġh-e-adā kā fasāna suntā huuñ
mujhe to qatl karo dekhūñ to kaise qātil ho
hamārī aañkh ke parde meñ tum chhupo dekho
tumhārī aisī ho lailā to aisā mahmil ho
ye arz roz-e-jazā ham kareñge dāvar se
ki ḳhūñ-bahā maiñ hamāre havāle qātil ho
isī nazar se hai nūr-e-nigāh madd-e-nazar
mujhe habīb kā dīdār tā-ki hāsil ho
habīb kyuuñ na ho sūrat bhī achchhī sīrat bhī
har ek amr meñ tum rashk-e-māh-e-kāmil ho
ġhazab ye hai ki adū kā jhuuT sach Thahre
ham un se haq bhī kaheñ to gumān-e-bātil ho
mazā chakhā.ūñ tumheñ is hañsī kā rone par
ḳhudā kare kahīñ tum dil se mujh pe maa.il ho
tumhāre lab to haiñ jān-e-masīh o āb-e-baqā
ye kyā zamāne meñ mash.hūr hai ki qātil ho
tumhārī diid se sairāb ho nahīñ saktā
ki shakl-e-ā.ina muñh dekhne ke qābil ho
isī rafīq se ġhaflat hai aah ai 'afsar'
tumhāre kaam se jo ek dam na ġhāfil ho
Top Urdushayar.com