mudda.ā girya se kuchh ishq kā iz.hār nahīñ
kyā kahūñ tum se ki kahne meñ dil-e-zār nahīñ
is meñ kyā zillat-e-yūsuf sar-e-bāzār nahīñ
sāmne tere koī us kā ḳharīdār nahīñ
ho gayā aaj se bas ilm-e-qiyāfa bātil
sādgī se ye khulā thā ki sitamgār nahīñ
sab tarah se to vo achchhe haiñ par achchhe kyā haiñ
ik yahī aib hai kaisā ki vafādār nahīñ
talab-e-bosa-e-ruḳhsār ko jaane diije
kaun sī baat hai jis meñ tumheñ inkār nahīñ
yaañ ye manzūr ki matlab ko zabāñ par laa.eñ
vaañ hai añgusht laboñ par ki ḳhabar-dār nahīñ
pūchhte pūchhte aa jaao mere ghar kī taraf
hai pata ye ki nishān-e-dar-o-dīvār nahīñ
mere rone pe vo hañs hañs ke ye kahnā terā
ki tunuk-zarf se chhupte kabhī asrār nahīñ
koī pis jaa.e ki kaT jaa.e balā se un kī
kuchh ḳhabar un ko kisī kī dam-e-raftār nahīñ
tār-e-anfās haiñ siine ke numāyāñ varna
dekhne ko bhī garebāñ meñ koī taar nahīñ
sach to ye hai ki hai 'mushtāq' adū se achchhā
varna banda to kisī kā bhī taraf-dār nahīñ