ham DhūñDte haiñ baaġh meñ is gul-ezār ko
jalva ne jis ke rañg diyā hai bahār ko
tum jaate ho to jaao ḳhudā ke liye magar
le jaao apne saath na sabr-o-qarār ko
ham husn-e-itiqād se samjhe chaḌhā.e phuul
gul kar diyā jo us ne charāġh-e-mazār ko
dī kis ne is ko jā ke naved-e-qudūm-e-yār
hai nāgavār baaġh se jaanā bahār ko
us but meñ nūr-e-qudrat-e-ḳhāliq hai mustatar
patthar ne kyā chhupāyā hai dil meñ sharār ko
'mushtāq' ġham ko paas na aane de zīnhār
ḳhush ḳhush guzār zindagī-e-musta.ār ko