chamke haiñ sab ke baḳht tirī jalva-gāh meñ
vaañ kuchh nahīñ tamīz safed-o-siyāh meñ
rahmat jhalak rahī hai ġhazab kī nigāh meñ
dil pā rahā hai lazzat-e-tā.at gunāh meñ
haiñ jab tujhī pe shaiḳh-o-barahman miTe hue
phir farq kyā hai but-kada-o-ḳhānqāh meñ
pahle vahī bahisht meñ jaa.e to lutf hai
sabqat huī hai jis kī taraf se gunāh meñ
bande huuñ taaki ḳhil.at-e-rahmat ke mustahiq
bhar dī hai kuuT kuuT ke lazzat gunāh meñ
tāsīr-e-āh-o-nāla to ma.alūm haañ magar
dil kā buḳhār ḳhuub nikaltā hai aah meñ
'mushtāq' aa.e raah pe vo shoḳh yā na aa.e
apnī taraf se farq na aa.e nibāh meñ