har dam shagufta-tar jo hañsī meñ dahan huā
ġhunche se pahle gul huā gul se chaman huā
zāhid huā asaam huā barahman huā
is rah meñ rahnumā jo banā rāhzan huā
sūrat badal ga.ī koī pahchāntā nahīñ
āshiq tirā vatan meñ ġharīb-ul-vatan huā
qad sarv nargis aañkh dahan ġhuncha gul ezaar
jalve se us ke ḳhāna-e-vīrāñ chaman huā
ġhairoñ ne baiThne na diyā jab kahīñ mujhe
maiñ anjuman meñ muntazim-e-anjuman huā
tab-e-jafā-shi.ār kī tafrīh ke liye
naala mirā tarāna-e-murġh-e-chaman huā
'mushtāq' sūfiyoñ meñ to taa.ib huā thā kal
suntā huuñ aaj rindoñ meñ tauba-shikan huā