Afsar Allahabadi

na ho ya rab aisi tabiat kisi ki

Afsar Allahabadi

na ho yā rab aisī tabī.at kisī kī
ki hañs hañs ke dekhe musībat kisī kī
jafā un se mujh se vafā kaise chhūTe
ye sach hai nahīñ chhuTtī aadat kisī kī
achhūtā jo ġham ho to is meñ bhī ḳhush huuñ
nahīñ mujh ko manzūr shirkat kisī kī
hasīnoñ kī donoñ adā.eñ haiñ dilbar
kisī kī hayā to sharārat kisī kī
mujhe gum-shuda dil kā ġham hai to ye hai
ki is meñ bharī thī mohabbat kisī kī
bahut ro.e ham yaad meñ apne dil kī
jahāñ dekhī nannhī sī turbat kisī kī
Top Urdushayar.com