tere aane kā gumāñ hotā hai
kis zamāne kā gumāñ hotā hai
sañg-rezoñ pe bhī ab chiḌiyoñ ko
daane daane kā gumāñ hotā hai
maiñ khañDar huuñ to jahāñ ko mujh meñ
ik ḳhazāne kā gumāñ hotā hai
ek tasvīr huuñ ġham kī jis par
muskurāne kā gumāñ hotā hai
peḌ kaTte haiñ to har tinke par
āshiyāne kā gumāñ hotā hai
dil kahāñ ab to kisī taa.ir ke
phaḌphaḌāne kā gumāñ hotā hai
us zamāne meñ nahīñ haiñ ham tum
jis zamāne kā gumāñ hotā hai
mai laraztī hai to duniyā tujh par
Dagmagāne kā gumāñ hotā hai