diye kī aañkh se jab guftugū nahīñ hotī
vo merī raat kabhī surḳh-rū nahīñ hotī
havā ke lams meñ us kī mahak bhī hotī hai
vo shāḳh-e-gul jo kahīñ rū-ba-rū nahīñ hotī
kise nasīb ye shīrīnī-e-lab-o-lahja
har ek dasht meñ ye āb-e-jū nahīñ hotī
maiñ harf harf meñ paikar tirā samotā huuñ
ġhazal to hotī hai par hū-ba-hū nahīñ hotī
kabhī kabhī to maiñ ḳhud se kalām kartā huuñ
kabhī kabhī to ye lagtā hai tū nahīñ hotī