Chakbast Brij Narayan

dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926
dil kiye tasḳhīr baḳhshā faiz-e-rūhānī mujhe
hubb-e-qaumī ho gayā naqsh-e-sulaimānī mujhe
manzil-e-ibrat hai duniyā ahl-e-duniyā shaad haiñ
aisī dil-jam.ī se hotī hai pareshānī mujhe
jāñchtā huuñ vus.at-e-dil hamla-e-ġham ke liye
imtihāñ hai ranj-o-hirmāñ kī farāvānī mujhe
haq-parastī kī jo maiñ ne but-parastī chhoḌ kar
barhaman kahne lage ilhād kā baanī mujhe
kulfat-e-duniyā miTe bhī to saḳhī ke faiz se
haath dhone ko mile bahtā huā paanī mujhe
ḳhud-parastī miT ga.ī qadr-e-mohabbat baḌh ga.ī
mātam-e-ahbāb hai tālīm-e-rūhānī mujhe
qaum kā ġham mol le kar dil kā ye aalam huā
yaad bhī aatī nahīñ apnī pareshānī mujhe
zarra zarra hai mire kashmīr kā mehmāñ-navāz
raah meñ patthar ke TukḌoñ ne diyā paanī mujhe
lucknow meñ phir huī ārāsta bazm-e-suḳhan
baad muddat phir huā zauq-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe
Top Urdushayar.com