na koī dost dushman ho sharīk-dard-o-ġham merā
salāmat merī gardan par rahe bār-e-alam merā
likhā ye dāvar-e-mahshar ne merī fard-e-isyāñ par
ye vo banda hai jis par naaz kartā hai karam merā
kahā ġhuncha ne hañs kar vaah kyā nairañg-e-ālam hai
vajūd gul jise samjhe haiñ sab hai vo adam merā
kashākash hai ummīd-o-yās kī ye zindagī kyā hai
ilāhī aisī hastī se to achchhā thā adam merā
dil-e-ahbāb meñ ghar hai shagufta rahtī hai ḳhātir
yahī jannat hai merī aur yahī bāġh-e-iram merā
mujhe ahbāb kī pursish kī ġhairat maar Dālegī
qayāmat hai agar ifshā huā rāz-e-alam merā
khaḌī thiiñ rāsta roke hue lākhoñ tamannā.eñ
shahīd-e-yās huuñ niklā hai kis mushkil se dam merā
ḳhudā ne ilm baḳhshā hai adab ahbāb karte haiñ
yahī daulat hai merī aur yahī jāh-o-hasham merā
zabān-e-hāl se ye lucknow kī ḳhaak kahtī hai
miTāyā gardish-e-aflāk ne jāh-o-hasham merā
kiyā hai faash parda kufr-o-dīñ kā is qadar maiñ ne
ki dushman hai barhaman aur adū shaiḳh-e-haram merā