unheñ ye fikr hai har dam na.ī tarz-e-jafā kyā hai
hameñ ye shauq hai dekheñ sitam kī intihā kyā hai
gunah-gāroñ meñ shāmil haiñ gunāhoñ se nahīñ vāqif
sazā ko jānte haiñ ham ḳhudā jaane ḳhatā kyā hai
ye rañg-e-be-kasī rañg-e-junūñ ban jā.egā ġhāfil
samajh le yās-o-hirmāñ ke maraz kī intihā kyā hai
nayā bismil huuñ maiñ vāqif nahīñ rasm-e-shahādat se
batā de tū hī ai zālim taḌapne kī adā kyā hai
chamaktā hai shahīdoñ kā lahū parde meñ qudrat ke
shafaq kā husn kyā hai shoḳhi-e-rañg-e-hinā kyā hai
umīdeñ mil ga.iiñ miTTī meñ daur-e-zabt-e-āḳhir hai
sadā-e-ġhaib batlā de hameñ hukm-e-ḳhudā kyā hai