mirī be-ḳhudī hai vo be-ḳhudī ki ḳhudī kā vahm-o-gumāñ nahīñ
ye surūr-e-sāġhar-e-mai nahīñ ye ḳhumār-e-ḳhvāb-e-girāñ nahīñ
jo zuhūr-e-ālam-e-zāt hai ye faqat hujūm-e-sifāt hai
hai jahāñ kā aur vajūd kyā jo tilism-e-vahm-o-gumāñ nahīñ
ye hayāt ālam-e-ḳhvāb hai na gunāh hai na savāb hai
vahī kufr-o-dīñ meñ ḳharāb hai jise ilm-e-rāz-e-jahāñ nahīñ
na vo ḳhum meñ baade kā josh hai na vo husn jalva-farosh hai
na kisī ko raat kā hosh hai vo sahar ki shab kā gumāñ nahīñ
vo zamīñ pe jin kā thā dabdaba ki buland arsh pe naam thā
unheñ yuuñ falak ne miTā diyā ki mazār tak kā nishāñ nahīñ