na.e jhagḌe nirālī kāvisheñ ījād karte haiñ
vatan kī aabrū ahl-e-vatan barbād karte haiñ
havā meñ uḌ ke sair-e-ālam-e-ījād karte haiñ
farishte dañg haiñ vo kaam ādam-zād karte haiñ
nayā maslak nayā rañg-e-suḳhan ījād karte haiñ
urūs-e-sher ko ham qaid se āzād karte haiñ
matā-e-pās-e-ġhairat bul-havas barbād karte haiñ
lab-e-ḳhāmosh ko sharminda-e-faryād karte haiñ
havā-e-tāza pā kar bostāñ ko yaad karte haiñ
asīrān-e-qafas vaqt-e-sahar fariyād karte haiñ
zarā ai kunj-e-marqad yaad rakhnā us hamiyyat ko
ki ghar vīrān kar ke ham tujhe ābād karte haiñ
har ik ḳhisht-e-kuhan afsāna-e-derīna kahtī hai
zabān-e-hāl se TuuTe khañDar fariyād karte haiñ
balā-e-jāñ haiñ ye tasbīh aur zunnār ke phande
dil-e-haq-bīñ ko ham is qaid se āzād karte haiñ
azaañ dete haiñ but-ḳhāne meñ jā kar shān-e-momin se
haram ke narā-e-nāqūs ham ījād karte haiñ
nikal kar apne qālib se nayā qālib basā.egī
asīrī ke liye ham ruuh ko āzād karte haiñ
mohabbat ke chaman meñ majma-e-ahbāb rahtā hai
na.ī jannat isī duniyā meñ ham ābād karte haiñ
nahīñ ghaTtī mirī āñkhoñ meñ tārīkī shab-e-ġham kī
ye taare raushnī apnī abas barbād karte haiñ
thake-māñde musāfir zulmat-e-shām-e-ġharībāñ meñ
bahār-e-jalva-e-sub.h-e-vatan ko yaad karte haiñ
dil-e-nāshād rotā hai zabāñ uf kar nahīñ saktī
koī suntā nahīñ yuuñ be-navā fariyād karte haiñ
janāb-e-shaiḳh ko ye mashq hai yād-e-ilāhī kī
ḳhabar hotī nahīñ dil ko zabāñ se yaad karte haiñ
nazar aatī hai duniyā ik ibādat-gāh-e-nūrānī
sahar kā vaqt hai bande ḳhudā ko yaad karte haiñ
sabaq umr-e-ravāñ kā dil-nashīñ hone nahīñ paatā
hamesha bhūlte jaate haiñ jo kuchh yaad karte haiñ
zamāne kā moallim imtihāñ un kā nahīñ kartā
jo āñkheñ khol kar ye dars-e-hastī yaad karte haiñ
adab ta.alīm kā jauhar hai zevar hai javānī kā
vahī shāgird haiñ jo ḳhidmat-e-ustād karte haiñ
na jaanī qadr terī umr-e-rafta ham ne collage meñ
nikal aate haiñ aañsū ab tujhe jab yaad karte haiñ