dard-e-dil pās-e-vafā jazba-e-īmāñ honā
ādmiyat hai yahī aur yahī insāñ honā
nau-giraftār-e-balā tarz-e-vafā kyā jāneñ
koī nā-shād sikhā de unheñ nālāñ honā
roke duniyā meñ hai yuuñ tark-e-havas kī koshish
jis tarah apne hī saa.e se gurezāñ honā
zindagī kyā hai anāsir meñ zuhūr-e-tartīb
maut kyā hai inhīñ ajzā kā pareshāñ honā
daftar-e-husn pe mohr-e-yad-e-qudrat samjho
phuul kā ḳhaak ke tode se numāyāñ honā
dil asīrī meñ bhī āzād hai āzādoñ kā
valvaloñ ke liye mumkin nahīñ zindāñ honā
gul ko pāmāl na kar la.al-o-gohar ke mālik
hai use turra-e-dastār-e-ġharībāñ honā
hai mirā zabt-e-junūñ josh-e-junūñ se baḌh kar
nañg hai mere liye chāk-garebāñ honā
qaid yūsuf ko zuleḳhā ne kiyā kuchh na kiyā
dil-e-yūsuf ke liye shart thā zindāñ honā