agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotā
na kuchh marne kā ġham hotā na jiine kā mazā hotā
bahār-e-gul meñ dīvānoñ kā sahrā meñ parā hotā
jidhar uThtī nazar kosoñ talak jañgal harā hotā
mai-e-gul-rañg luTtī yuuñ dar-e-mai-ḳhāna vā hotā
na piine kī kamī hotī na saaqī se gilā hotā
hazāroñ jaan dete haiñ butoñ kī bevafā.ī par
agar un meñ se koī bā-vafā hotā to kyā hotā
rulāyā ahl-e-mahfil ko nigāh-e-yās ne merī
qayāmat thī jo ik qatra in āñkhoñ se judā hotā
ḳhudā ko bhuul kar insān ke dil kā ye aalam hai
ye ā.īna agar sūrat-numā hotā to kyā hotā
agar dam bhar bhī miT jaatī ḳhalish ḳhār-e-tamannā kī
dil-e-hasrat-talab ko apnī hastī se gilā hotā