Chakbast Brij Narayan

fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926
fanā kā hosh aanā zindagī kā dard-e-sar jaanā
ajal kyā hai ḳhumār-e-bāda-e-hastī utar jaanā
azīzān-e-vatan ko ġhuncha o barg o samar jaanā
ḳhudā ko bāġhbāñ aur qaum ko ham ne shajar jaanā
urūs-e-jāñ nayā pairāhan-e-hastī badaltī hai
faqat tamhīd aane kī hai duniyā se guzar jaanā
musībat meñ bashar ke jauhar-e-mardāna khulte haiñ
mubārak buz-diloñ ko gardish-e-qismat se Dar jaanā
vo tab-e-yās-parvar ne mujhe chashm-e-aqīdat dī
ki shām-e-ġham kī tārīkī ko bhī nūr-e-sahar jaanā
bahut saudā rahā vaa.iz tujhe nār-e-jahannam kā
maza soz-e-mohabbat kā bhī kuchh ai be-ḳhabar jaanā
karishma ye bhī hai ai be-ḳhabar iflās-e-qaumī kā
talāsh-e-rizq meñ ahl-e-hunar kā dar-ba-dar jaanā
ajal kī niiñd meñ bhī ḳhvāb-e-hastī gar nazar aayā
to phir bekār hai tañg aa ke is duniyā se mar jaanā
vo saudā zindagī kā hai ki ġham insān sahtā hai
nahīñ to hai bahut āsān is jiine se mar jaanā
chaman-zār-e-mohabbbat meñ usī ne bāġhbānī kī
ki jis ne apnī mehnat ko hī mehnat kā samar jaanā
sidhārī manzil-e-hastī se kuchh be-e'tinā.ī se
tan-e-ḳhākī ko shāyad ruuh ne gard-e-safar jaanā
Top Urdushayar.com