ham sochte haiñ raat meñ tāroñ ko dekh kar
sham.eñ zamīn kī haiñ jo daaġh āsmāñ ke haiñ
jannat meñ ḳhaak bāda-parastoñ kā dil lage
naqshe nazar meñ sohbat pīr-e-muġhāñ ke haiñ
apnā maqām shāḳh-e-burīda hai baaġh meñ
gul haiñ magar satā.e hue bāġhbāñ ke haiñ
ik silsila havas kā hai insāñ kī zindagī
is ek musht-e-ḳhāk ko ġham do-jahāñ ke haiñ