kabhī thā naaz zamāne ko apne hind pe bhī
par ab uruuj vo ilm-o-kamāl-o-fan meñ nahīñ
ragoñ meñ ḳhuuñ hai vahī dil vahī jigar hai vahī
vahī zabāñ hai magar vo asar suḳhan meñ nahīñ
vahī hai bazm vahī sham.a hai vahī fānūs
fidā-e-bazm vo parvāne anjuman meñ nahīñ
vahī havā vahī koyal vahī papīhā hai
vahī chaman hai pa vo bāġhbāñ chaman meñ nahīñ
ġhurūr-e-jehl ne hindostāñ ko luuT liyā
ba-juz nifāq ke ab ḳhaak bhī vatan meñ nahīñ