kyuuñ shahr meñ har-samt se uThtā hai dhuāñ dekh
kyā haal mohalle kā hai jā apnā makāñ dekh
āfāq uḌānoñ ke abhī aur bahut haiñ
ai tā.ir-e-parvāz kabhī apnā jahāñ dekh
detā nahīñ nafrat kā shajar dhuup meñ saaya
behtar hai koī sāya-e-dīvār amaañ dekh
ākāsh ye tāroñ kī ziyā dekhne vaale
agle hai zamīñ chāñd bhī sūraj bhī yahāñ dekh
lagtā hai koī tiir jigar chiir ke nikle
lachke hai sitamgar tire abrū kī kamāñ dekh
kyuuñ kahte haiñ sab mujh ko buzurg aap buzurg aap
aa tū bhī mire māthe pe sajdoñ ke nishāñ dekh
kahnā hī paḌā 'nūr' ke ash.ār ko sun kar
kyā ḳhuub hai zālim kā bhī andāz-e-bayāñ dekh