Noor muneeri

aagahi ke dar khule to zindagi achchhi lagi

Noor muneeri

Maharashtra, India

1934
āgahī ke dar khule to zindagī achchhī lagī
ham-damoñ kī bhiiḌ meñ begāngī achchhī lagī
shahr ke har moḌ par āvāz ke jañgal mile
ham ko apne gaañv hī kī ḳhāmushī achchhī lagī
yuuñ to ham dete rahe tere savāloñ kā javāb
haañ magar ai dost terī sādgī achchhī lagī
tajziya hālāt kā ham har tarah karte rahe
jab samajh aajiz huī be-mā.egī achchhī lagī
vāqif-e-ādāb-e-mai-ḳhāna huā to 'nūr' ko
mai-kashī ke bil-muqābil tishnagī achchhī lagī
Top Urdushayar.com