har ek savāl kā dete haiñ kyuuñ javāb ġhalat
paḌhā hai bachchoñ ne shāyad sabhī nisāb ġhalat
hamāre ahd-e-vafā kā kahīñ bhī zikr nahīñ
mo.arriḳhoñ ne likhe ab ke saare baab ġhalat
tanābeñ TuuT ke bikhrīñ tamām ḳhemoñ kī
havā ke ruḳh kā lagāyā gayā hisāb ġhalat
ḳhayāl-e-shauq kī be-chehragī pe kyā ro.eñ
diloñ meñ ham ne basā.e the saare ḳhvāb ġhalat
ibādatoñ ke marātib buland hoñ kaise
tire amal meñ gunā kā hai irtikāb ġhalat
ham ehtisāb-e-amal se gurez-pā hī rahe
na vo ġhalat hai na us kā koī itaab ġhalat
dil-o-dimāġh kī bastī ujaḌ bhī saktī hai
paḌhe jo aañkh hamārī koī kitāb ġhalat
masāfatoñ ke kaḌe kos sahl kyā hoñge
agar safar meñ mile koī ham-rikāb ġhalat