Noor muneeri

chandni-raat hai taron ka saman baqi hai

Noor muneeri

Maharashtra, India

1934
chāñdnī-rāt hai tāroñ kā samāñ baaqī hai
tujh se mil mil ke bichhaḌne kā gumāñ baaqī hai
ab to bas naam hai yā sañg-e-nishāñ baaqī hai
kaisī bastī hai makīñ haiñ na makāñ baaqī hai
ātish-e-ishq bujhe ek zamāna guzrā
raakh ke Dher tale ab bhī dhuāñ baaqī hai
kitnī sadiyoñ se to sargarm-e-amal hai duniyā
us ke bā-vasf magar kār-e-jahāñ baaqī hai
har taraf aam hai insāñ kī tabāhī kā chalan
kyā kahīñ dahr meñ ab jā-e-amāñ baaqī hai
Top Urdushayar.com