Noor muneeri

ye sahal hi sahi sikke uchhaal kar rakhna

Noor muneeri

Maharashtra, India

1934
ye sahal hī sahī sikke uchhāl kar rakhnā
magar ye dil hai use bhī sambhāl kar rakhnā
nazar se laakh hoñ ojhal surāġh manzil ke
junūñ kā kaam hai sahrā khañgāl kar rakhnā
hai inqalāb ke sho.aloñ kī garmiyāñ is meñ
matā-e-lauh-o-qalam ko sambhāl kar rakhnā
nayā ḳhayāl na.ī raushnī na.ī rāheñ
safar nayā hai qadam dekh-bhāl kar rakhnā
janāb-e-'nūr' ġhazal kā yahī taqāza hai
na.e ḳhayāl ko qālib meñ Dhaal kar rakhnā
Top Urdushayar.com