dosh pe apne baar uThā.e phirte haiñ
ham kitne āzār uThā.e phirte haiñ
prem nagar ke baasī kāñToñ ke ban meñ
phūloñ kā ambār uThā.e phirte haiñ
tan ke ujle man ke kaale haiñ jo log
nafrat kī dīvār uThā.e phirte haiñ
dīn-dharam ke naam pe qaumoñ ke dushman
do-dhārī talvār uThā.e phirte haiñ
'nūr' mire āñgan meñ phir vo raat ga.e
paa.el kī jhankār uThā.e phirte haiñ