dil meñ jo mohabbat kī raushnī nahīñ hotī
itnī ḳhūbsūrat ye zindagī nahīñ hotī
dost pe karam karnā aur hisāb bhī rakhnā
kārobār hotā hai dostī nahīñ hotī
ḳhud charāġh ban ke jal vaqt ke andhere meñ
bhiik ke ujāloñ se raushnī nahīñ hotī
shā.erī hai sarmāyā ḳhush-nasīb logoñ kā
baañs kī har ik Tahnī bāñsurī nahīñ hotī
khel zindagī ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koī bhī āḳhirī nahīñ hotī