charāġh dil kā muqābil havā ke rakhte haiñ
har ek haal meñ tevar balā ke rakhte haiñ
milā diyā hai pasīna bhale hī miTTī meñ
ham apnī aañkh kā paanī bachā ke rakhte haiñ
hameñ pasand nahīñ jañg meñ bhī makkārī
jise nishāne pe rakkheñ batā ke rakhte haiñ
kahīñ ḳhulūs kahīñ dostī kahīñ pe vafā
baḌe qarīne se ghar ko sajā ke rakhte haiñ
anā-pasand haiñ 'hastī'-jī sach sahī lekin
nazar ko apnī hamesha jhukā ke rakhte haiñ