DhūñDā hai har jagah pa kahīñ par nahīñ milā
ġham se to gahrā koī samundar nahīñ milā
ye tajraba huā hai mohabbat kī raah meñ
kho kar milā jo ham ko vo pā kar nahīñ milā
dahlīz apnī chhoḌ dī jis ne bhī ek baar
dīvār-o-dar hī us ko mile ghar nahīñ milā
saarī chamak hamāre pasīne kī hai janāb
virse meñ ham ko koī bhī zevar nahīñ milā
ghar se hamārī āñkh-mīcholī rahī sadā
āñgan nahīñ milā to kabhī dar nahīñ milā