dil-barāñ kā apas kuuñ daas na kar
daas hotā to dil udaas na kar
gar alak par hai lak to chak suuñ jhaTak
chak kī ummīd alak kī aas na kar
laT kuuñ laT-paT ho ruḳh pe riij nikū
suut kāñtī ko phir kapās na kar
bul-havas bulbulāñ naman har ban
dekh apas dukh kī iltimās na kar
ya.anī yak Thaar yak yaqīñ sū uchh
baaj yak dūsrā qayās na kar
gar jo dil jal dhunvāñ asaas meñ niiñ
tū kubūdī abas libās na kar
toḌ apas kā hijāb ai 'bahrī'
mulk meñ man ke us mavās na kar