altāf-o-karam ġhaiz-o-ġhazab kuchh bhī nahīñ hai
thā pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhī nahīñ hai
barsāt ho sūraj se samundar se uge aag
mumkin hai har ik baat ajab kuchh bhī nahīñ hai
dil hai ki havelī koī sunsān sī jis meñ
ḳhvāhish hai na hasrat na talab kuchh bhī nahīñ hai
ab ziist bhī ik lamha-e-sākit hai ki jis meñ
hañgāma-e-din garmī-e-shab kuchh bhī nahīñ hai
sab quvvat-e-bāzū ke karishmāt haiñ 'rāhī'
kyā chiiz hai ye nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ hai