agar allāh kī vahdāniyat taslīm karte ho
to phir insān ko ḳhānoñ meñ kyuuñ taqsīm karte ho
mohabbat dastaras se lafz-o-ma.anī kī hai bālā-tar
miyāñ tum us kī bhī tashrīh aur tafhīm karte ho
tumhārā qaul kyūñkar mo'atabar Thahre ki tum us meñ
kabhī tansīḳh karte ho kabhī tarmīm karte ho
haqīr un ko samajhte ho jo haiñ tauqīr ke qābil
razīloñ kī magar tāzīm aur takrīm karte ho
baġhāvat kyuuñ nahīñ karte ḳhudā-vandān-e-bātil se
ḳhudā bar-haq hai is haq ko agar taslīm karte ho
agar qaabū nahīñ ḳhud par to sab be-sūd-o-lā-hāsil
bahādur laakh ho tasḳhīr haf-iqlīm karte ho
in āvāra parindoñ ko pakaḌ paate ho tum kyūñkar
ḳhayāloñ kī ai 'rāhī' kis tarah tanzīm karte ho