Mehboob Rahi

paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to

Mehboob Rahi

Maharashtra, India

1939
paikar-e-sañg-o-āhañg jaisā tanhā khaḌā huuñ vaise to
andar TuuTā phūTā huuñ sālim lagtā huuñ vaise to
zehn kī āñkhoñ par dānista paTTī bāñdhe baiThā huuñ
sab kuchh dekh rahā huuñ sab kuchh samajh rahā huuñ vaise to
kal gumnāmī kī gahrī khaa.ī meñ bhī gir saktā huuñ
shohrat kī ūñchī choTī par aaj khaḌā huuñ vaise to
bas ik munāfiqat hai jis kī ne.amat se mahrūm huuñ maiñ
mere yaaro maiñ bhī bilkul tum jaisā huuñ vaise to
apne badan kī qaid se lekin chhuTkārā nā-mumkin hai
bāhar kī saarī dīvāreñ toḌ chukā huuñ vaise to
jo tārīkī mere apne andar thī so qaa.em hai
galiyoñ galiyoñ chāñd sitāre baañT rahā huuñ vaise to
Top Urdushayar.com