chāñd sūraj shafaq kahkashāñ ḳhatm-shud
ab uḌuuñ kis taraf āsmāñ ḳhatm-shud
regzār-e-yaqīñ tā-ba-hadd-e-nazar
sabza-zār-e-ḳhayāl-o-gumāñ ḳhatm-shud
phir huā yuuñ ki aañkh ek dam khul ga.ī
muḳhtasar ye ki bas dāstāñ ḳhatm-shud
fikr ke saare gul-būTe murjhā ga.e
zehn kī saarī shādābiyāñ ḳhatm-shud
us ne aate hī sab khiḌkiyāñ khol diiñ
daf.atan sar meñ thā jo dhuāñ ḳhatm-shud
rishte-nāte sabhī juuñ ke tuuñ haiñ magar
ik taqaddus jo thā darmiyāñ ḳhatm-shud
zehn ko ab nichoḌūñ to Tapke ġhazal
thī kabhī vo jo tab-e-ravāñ ḳhatm-shud