Mehboob Rahi

hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai

Mehboob Rahi

Maharashtra, India

1939
hañgāma shahr-e-jāñ meñ musalsal lahū se hai
ehsās meñ hai jitnī bhī halchal lahū se hai
shādābiyāñ usī kī badaulat haiñ ruuh meñ
hai regzār-e-jism jo jal-thal lahū se hai
sābit huā ki detā hai tū ye bhī aag sī
sābit huā ye soz-e-musalsal lahū se hai
ḳhāke sabhī adhūre haiñ sab naqsh nā-tamām
duniyā meñ jo bhī kuchh hai mukammal lahū se hai
qaa.em hai us se āriz-e-gulgūñ kī dilkashī
rañgīñ ruḳh-e-hayāt kā āñchal lahū se hai
dānishvarī lahū se milī ek shaḳhs ko
ik aur shaḳhs hai ki jo pāgal lahū se hai
'rāhī' vagarna zehn hai tārīkiyoñ kā ghar
raushan ḳhayāl-o-fikr kī mash.al lahū se hai
Top Urdushayar.com