zindagānī kā kyā kareñ sāhab
rā.egānī kā kyā kareñ sāhab
aap ke hukm ke ġhulām hue
hukmarānī kā kyā kareñ sāhab
dil ke khañDarāt ham ko kaafī haiñ
rājdhānī kā kyā kareñ sāhab
ham makānoñ kī qaid ke panchhī
lā-makānī kā kyā kareñ sāhab
zālimoñ kī mahān bastī meñ
shādmānī kā kyā kareñ sāhab
baaġh sannāTā dhuul aur pat-jhaḌ
bāġhbānī kā kyā kareñ sāhab
aap aa.e to haiñ kahānī meñ
ab kahānī kā kyā kareñ sāhab
dil hai zinda magar dhaḌaktā nahīñ
āñ-jahānī kā kyā kareñ sāhab