Afzal Parvez

gard uDe ya koi aandhi hi chale

Afzal Parvez

gard uḌe yā koī āñdhī hī chale
ye umas to kisī unvān Tale
añg par zaḳhm liye ḳhaak male
aan baiThe haiñ tire mahal tale
apnā ghar shahr-e-ḳhamoshāñ sā hai
kaun aa.egā yahāñ shaam Dhale
dil-e-parvāna pe kyā guzregī
jab talak dhuup bujhe sham.a jale
ruup kī jot hai kaalā jaadū
ik chhalāvā ki farishtoñ ko chhale
daldaloñ meñ bhī kañval khilte haiñ
naḳhl-e-ummīd bahar-taur bhale
apne hī rain-baseroñ kī taraf
lauT aa.e haiñ sabhī shaam Dhale
mai-kade meñ to nasha baTtā hai
kaun yaañ jāñche bure aur bhale
raushnī dekh ke chuñdhiyā jaa.eñ
jo añdheroñ meñ baḌhe aur pale
ḳhaar to saif banegā gul kī
ye bhale hī kisī gulchīñ ko khale
raat baaqī hai abhī to 'parvez'
baada sar-josh rahe daur chale
Top Urdushayar.com