Afzal Parvez

laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan

Afzal Parvez

lailā sar-ba-garebāñ hai majnūñ sā āshiq-e-zār kahāñ
hiir duhā.ī detī hai rāñjhe sā yār-e-ġhār kahāñ
apnā ḳhūn-e-jigar piite haiñ tujh ko duā.eñ dete haiñ
tere maiḳhāne meñ saaqī ham sā bāda-ḳhvār kahāñ
hijr kā zulm hamārī qismat vasl kī daulat ġhair kā maal
zaḳhm kise aur marham kis ko dard kahāñ hai qarār kahāñ
hijr kā zulm hamārī qismat vasl kī daulat ġhair kā maal
zaḳhm kise aur marham kis ko dard kahāñ hai qarār kahāñ
pīr-e-muġhāñ kyā kam thā mohtasiboñ kā bhī ab daḳhl huā
miinā par kyā guzregī sar phoḌeñge mai-ḳhvār kahāñ
sunte haiñ ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke haiñ
apne nasheman tak jo na pahuñchī aisī bahār bahār kahāñ
kunj-e-mehan hai dār-o-rasan hai zulmat hai tanhā.ī hai
kaun sī jā hai ham-safaro le aa.ī talāsh-e-yār kahāñ
gul-chīnoñ ko aaj chaman-bandī kā da.avā hai 'parvez'
ab dekheñ luT kar biktā hai kalī kalī kā siñghār kahāñ
Top Urdushayar.com