ai sakhīyan maiñ ne dekhyā sañg kar ke yaar kā
pan na dekhyā be-samajh hor sañg-dil tujh saar kā
jiiv lene jāntā hor dilbarī ke tū kalā
ghar meñ hai lag aapnā hor bhārge parpār kā
jiiv jal kahtā huuñ maiñ pan sun tuuñ sañgīñ huuñ nikū
bol apas kī birah kī par bas meñ bilkhanhār kā
ghaav kaarī uchh na jaanā jiiv hor jam talkhalī
yuuñ to ḳhāsiyat disyā tujh ishq kī tarvār kā
til tire rakhte haiñ jaagā tiin lak payāde kī aaj
chak tire karte haiñ da.avā chaar lak asvār kā
ishq meñ kuchh adl achhutā to na achhutā be-dhaḌak
dukh dilāvar lashkarī sar kaaT sukh sardār kā
'bahriyā' sar paañv kyuuñ kartā haqīqat kā so bol
girnā khaḌtā sar pe tere u majāzī maar kā