juuñ chaman ke dekh bulbul ḳhush huā
bolte har phuul par mazmūñ-navā
yuuñ havas le dil pe vīrāñ baaġh ke
biis baaḌī par kare kaagā kavā
uu he qaane phuul ke yak baas par
u na samajyā añg bhar laayā chuvā
chaal iikas kī na yak kuuñ aa.egī
is suḳhan par hañste hañs bolyā kavā
haañ are taqlīd suuñ ho duur ba-yak
niiñ musalmānī meñ taqlīdī ridā
aah us bhūke pe sau afsos hai
naan kāchī hai talag phūTe tavā
mil ke uchh har haal meñ 'bahrī' are
narm suuñ juuñ mom saḳhtī suuñ lahvā