sham-e-ummīd gar nahīñ hotī
shām-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
haa.e nā-qadrī-e-jahāñ afsos
qadr-e-ahl-e-hunar nahīñ hotī
baat karte haiñ log barsoñ kī
aur pal kī ḳhabar nahīñ hotī
ek aisā bhī hai safar ki jahāñ
zindagī ham-safar nahīñ hotī
haq-pasandī mizāj ho jis kā
muflisī us ke ghar nahīñ hotī
zindagī kā na e.atibār karo
zindagī mo'atabar nahīñ hotī