Mahfooz Asar

sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai

Mahfooz Asar

1950
sabz shāḳhoñ pe zamāne kī nazar hotī hai
kis ko sūkhe hue pattoñ kī ḳhabar hotī hai
sadaf-e-chashm se bāhar jo na aane paa.e
buuñd ashkoñ kī vahī misl-e-guhar hotī hai
yaad ġhurbat meñ jab aatī hai vatan kī mujh ko
nā-gahāñ aañkh mirī ashkoñ se tar hotī hai
daf.atan dil kā har ik zaḳhm ubhar jaatā hai
jab bhī tasvīr tirī pesh-e-nazar hotī hai
shaam hote hī sulag jaate haiñ har ghar meñ charāġh
Duub jaate haiñ sitāre to sahar hotī hai
phuul to phuul haiñ patte nahīñ ugte jin meñ
aise peḌoñ se bhī umīd-e-samar hotī hai
aib-jūī meñ shab-o-roz guzāreñ jo 'asar'
apne kirdār pe kab un kī nazar hotī hai
Top Urdushayar.com