ye naqsh aisā nahīñ hai jise miTā.ūñ maiñ
mujhe batā ki tujhe kaise bhuul jā.ūñ maiñ
koī lakīr hī raushan nahīñ hathelī par
najūmiyoñ ko bhalā haath kyā dikhā.ūñ maiñ
bujhā bujhā sā nazar aa rahā hai har koī
fasāna-e-ġham-e-hastī kise sunā.ūñ maiñ
yaqīñ karo ki mirī jiit phir yaqīnī hai
magar kaho to ye baazī bhī haar jā.ūñ maiñ
nazar ke sāmne manzil ke rāste haiñ bahut
ye sochtā huuñ qadam kis taraf baḌhā.ūñ maiñ
ye baat sach hai ki buniyād huuñ imārat kī
ye aur baat kisī ko nazar na aa.uuñ maiñ
ġham-e-zamāna se fursat kahāñ 'asar-sāhab'
duā ko haath jo apne liye uThā.ūñ maiñ