ye ghar ke bhed haiñ kahūñ kaise zabān se
kyā dukh mile haiñ mujh ko mere bhā.ī-jān se
cafe ke ek kone meñ masrūf guftugū
maġhmūm be-hayāt badan be-zabān se
ye din jo aaj biit gayā phir na aa.egā
ye tiir bhī nikal gayā qaus-e-kamān se
achchhe bashar haiñ jin ko nahīñ DhūñDne kī dhun
achchhā ḳhudā hai duur hai vābastgān se
ulTe kuñ.eñ ke qutr meñ laTkā diye ga.e
utre the do farishte kabhī āsmān se