tū jā rahī hai chhoḌ ke jā phir kabhī sahī
ai bastiyoñ kī tez havā phir kabhī sahī
ab aadmī kī jis pe musallat machine hai
ab zar kī justujū hai ḳhudā phir kabhī sahī
tujh ko Dubo gayā tujhe barbād kar gayā
ye takiya-e-kalām tirā phir kabhī sahī
is vaqt ek rabt-e-musalsal hai nā-guzīr
pābandī-e-quyūd-e-anā phir kabhī sahī
maiñ apne iztirār se majbūr ho gayā
us ne bigaḌ ke mujh se kahā phir kabhī sahī